Sadqa ki fazeelat aur sadqa in islam

Sadqa ki fazeelat aur sadqa in islam

sadqa ki fazeelat sadqa in islam

Sadqa:

Wese to sadqa karne ke islam mai be shumar fazilat bayan kiye gae hain jin mai se chand khas sadqa ki fazeelat mundarja zel hain.

Sadqa Mehshar mai Saya:

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam:

Qayamat ke din har momin logon ka faisla hone tak apne sadqa ke saya tale hoga. (Sahih ibn khazima- Masand Ahmed)

Sadqa Bure Khatma se Nijat:

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam:

Sadqa Allah Ta’ala ke ghazab ko thanda karta hai aur buri mout ko dafa karta hai. (Al trimedi)

Sadqa Akhrat ko sanwarta hai:

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam:

Insan kehta hai mera maal mera maal, jab ke ae insan tera mal to wo hai jo tu ne khakar khatam kardia aur pehen kar boseeda kardia, ya sadqa kar ke akhrat ke liye aage bhej dia.( Sahih Muslim)

Sadqa Azaab-e-Qabr se Nijaat:

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam:

Bilashuba sadqa qabr walon par se qabar ki garmi aur shiddat ko kam kardeta hai.

 Next Fazeelat:

Jumma namaz rakat aur juma ki fazilat

Leave a Comment